Sunday, September 20, 2015

Kisike takiye k niche kitni kahani chupi hai,

pallu mein bhande huye,

baalo mein gajre ki tarha,

kisi k chasmoo ne kitne hi mausam dekhe honge,

pocket mein chupe huwa paise ki tarha kitno ne jawani lutawe honge, 

rumalo mein chupe aasuyone kiska dilka bhoj liye huwe,

kisike cigarate ki duwe ne kitne dilo ko jalaya hoga, 

phir kahi kisike haato ki pakwaano ne kitne riskte siche honge,

kisike kitaabo ne kitne chitthiya pohochae hongi,

ek botol sihayi ne kitnahi shabdo ko jora hoga,

dadima ke paan ki gillorine kitne kahaniye sajae hongi,

kisike jutohne kitnahi maanzile paayi hongi.

aur kisike kalam ne kisi shaayar ka saath nibhaya hoga,

Aur kisi shaayar ne har din, kisi aysi hi raat ka intezar kiya hoga.

No comments:

Emotional Saina takes CWG gold, a title to heal Rio Olympics pain

Looking up at the sky, Saina Nehwal let out a scream after grabbing the coveted gold, eight years after she had become the toast of the ...